5 Amazing benefits of learning of secondary language .


5 Amazing benefits of learning of secondary language .


Doston, Aajka samay itna tezi se badal raha he ki logon ke andar ek doosre se aage nikal jaane ki chahat hi uski zindagi ka main maqsad ban gya he. Janam lene ke baad se ye race shuru ho jaati he. Aise mein competition badta chala ja rahe he. School ki tension, ristedaaron ki tension, carrier ki tension, kaun si job karenge kya karenge vyakti isi mein ulaz ke reh jaata hein. 

Kuch log study ke baad isi desh mein rehkar apna jeevan guzar dete hein to kuch sochte hein videsh ya abrod jaayenge aur vaha jaakar ke paisa kamayenge. Aise mein waha jaane ke liye aajkal log doosri bhasha ki zaroot padti he. Kuch country hein jaha par english se guzar chal jaata he par kuch jaise Arab, Egypt, Spain , aururky , Russia etc. jaisi desho mein aapko job karne ke liye unke desh ki bhasa hogi to aake growth ke liye achha hota he.

Mera ye article isi mudde par basesd he ki other language sikhne se kya benefits hote hein. to chaliye dekh lete hein ye points.

1: Smaran Chhamta ( Memory Increase)

Secondary language sikhne se aapki memory increase hoti he. Hamari kuch sikhne ki chhamta bani rehti hein aur hamra dimag tez hota he.

2:  Naye Sambhand (New Relationships)

Jab hum koi nayi bhasa sikh lete hein to hamere contacts bad jaate hein unmein virdhi hoti hein. Ise naye naye logon ko jaane ka, naye naye culture ka, naye khanpan jaane aur sampurna vyaktitiv vikas mein madad milti he.

3:Carriar improvement (Rozgar ke awsar)

Agar hum koi aur language sikh jaate hein to hamare paas naye rozgar ki sambhawnayon mein tezi se viridhi hoti he. Aur doosre desho mein hum jaaker ke job kar sakte hein aur ek lambe time ke liye us desh mein reh sakte hein. Hum us desh ki citizenship bhi le sakte hein. 

image source: google



4: Decision capacity ( Nirnay chhmta )

Jab koi doosri bhasa sikh leten hein isse hamare andar nirnaye lente ki chhamta mein bahot virdhi ho jaati hein. Dar ka ant ho jaata hein aur hum sahi aur satik decision lene mein powerful ho jaate hein.

5:Hassle free travling ( Nisankoch Yaatra

Aap us desh mein jaha ki aapne bhasa sikhi he bina sankoch ke jaa sakte hein aur yaatrayen kar sakte he. Aapke andar ka dar maar jaata he aur us desh mein swantra roop se, bina sankoch ke yaatra kar sakte hein aur ghum sakte hein.

Isliye doston agar aapko lagta hein ki aap kisi doosri desh mein jaakar job karna chahte hein ,job karna chahte hein , waha jaakar ke shadi ke baad basna chahtein hein please doosri bhasa yaani ke us desh ki bhasa abhi se sikhna shuru kar dijiye.

Neeche👇 kuch link diye hein jo aap other language ke baare mein aur jaankari le sakte hein,

Thanks and Regards
Team

Read Also( Ise bhi padhiye) 👈


#otherlanguage #secondarylanguage #forgionlanguage #doosribhasa #tusa #tusa-theunnatistudyacademy.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें